Shuruat - Pehla Kash.
5 Kash... Wo log jo yaha aaye Hai aur jinhe Kash ka matlab nahi pata Kash matlab english main Drag aur Puff hota Hai.
Nizamuddin Auliya ki Dargah mere lie koi nayi jagah nahi thi. Aaj itne dino ke baad apne shahar aaya to socha kyu na sabse pehle wahi jaaya jaaye jaha bhaut lamhe bitaye hai. Kisi Tarah tang galiyo se hota hua jab Dargah ke andar phaucha to jis sukoon ki talash main poora zamana talasha tha wo mil gaya. Araam se Baba ki Mazaar pe chadar chadhai aur uske baad "Bhar do Jholi meri" quwaalli ka anand leke usme khone laga. Tabhi achanak meri ek insaan pe nazar padi aur main chauk sa gaya. Umeed nahi thi ki kabhi apne dost ko yun tanha akela aur rota Hua dekhunga.
Zindagi bhi kitni ajeeb haina kabhi majboori to kabhi kismat dosto ko alag Kar deti Hai. Ye wahi dost Hai jiske lie main jaan vhi de sakta tha.
Par wo sab baad ki baat Hai main utha aur uske pass jaake bola Arth, Arth, usne sir utha ke bhi nahi dekha Maine phir usko hila ke poocha Arth. Wo achanak khada hua aur mujhe dekh ke pehle hairaan Hua phir gale laga Liya. Mujhe ab bhi Yankeen nahi ho raha tha ye mera jigri dost Arth hi Hai.
Maine poochne ki koshish bhi ki "Kya Hua bhai tujhe ye kaisa haal Bana rakha Hai tune?" wo bas muskura diya koi jawaab nahi diya usne. Pata nahi uski us hasi main bhaut gam dikh raha tha.
Cigarette pita Hai yaa chod di? Sabse pehla hi sawaal poocha usne mujhse. Peeta hun bhai Cigarette kaise chodi jaaegi tune hi to let lagayi Hai ab tere saath hi jaaegi.
Is baat pe halka sa muskuraya wo.
Ham dono phir un tang galiyo se bahar ki taraf Jaa Rahe they wo mere aagey chal raha tha aur main uske peeche yahi sochta Hua chal raha tha ki aakhir aisa Hua kya jo Mera dost jo kabhi hamare college ka sabse smart ladka Hua karta tha jisko dukhi to kya kabhi Maine Pareshaan bhi nahi dekha tha jiske chehre pe hamesha hasi rehti thi uski wo khaas hasi aakhir gayab kaha ho gayi.
2 Advance dena Bhaiya. Mujhe ab Yankeen Hua ye mera dost hi Hai. Uski ab tak wahi poorani aadat Hai Advance peene ki.
Mere dimaag main bhaut se sawaal uth Rahe they bhaut kuch kehna tha bhaut kuch puchna tha par samajh nahi paa raha tha shuruat kaha se karu.
Mujhse raha nahi gaya aur Maine pooch hi Liya usse ki Aakhir Hua kya tujhe?
Usne koi jawaab nahi diya, araam se cigarette jalayi aur pehla Kash kheech ke kaha, "Pyaar".