Pehla Kash - 2
Pehla Kash - 2
For all those who are reading this I would suggest you to read the First part of this story. Pehla Kash - Shuruat.
Pyaar, Pyaar duniya main sab ko kabhi na kabhi ho sakta Hai par Arth ko Pyaar ho sakta Hai ye apne aap main bhaut badi baat Hai. Ladkio se hamesha beshak Ghira rehta tha wo par kisi se Arth ko Pyaar ho jaaye mujhe is baat pe bharosa nahi Hua.
Pyaar aur tujhe, Mera sabse pehla sawaal hi Arth se ye tha kyuki mere dimaag main bhaut se sawaal chal Rahe they Pyaar ka aur Arth ki is halat main kya logic Hai.? Maine phir poocha Bhai tujhe Pyaar ho gaya, ye Kab Hua kaise Hua?
Pata nahi kyu wo baat mujhse Kar raha tha par achanak kahi kho gaya tha. Araam se cigarette ke Kash ko apne andar mehsoos Kar raha tha. Itni shiddat se kisi ko cigarette peete hue pehli baar dekh raha tha main wo bhi apne us dost ko jo 4 Kash main poori cigarette khatam Kar deta tha achanak usko aisa Hua kya.
Wo meri taraf dekh ke achanak hasne laga. Mujhe samajh nahi aaya Hua kya?
Bhai sab sahi to haina?
Kuch sahi nahi Hai bhai. Bhaut yaad Kara tujhe yaar Maine. Uske is jawaab main bhi na jaane kyu ek khaali pan sa tha. Uski Aankhe Nam thi par Aansu aankho se bahar nahi aa Rahe they.
Ham sab ke saath kabhi na kabhi zindagi main Aise hota Hai jab ham kuch kehna chahte Hai par zubaan nahi khol paate aur aankhe Nam to hoti Hai par roo nahi paate.
Bhai Maine bhi bht miss Kia tujhe par Hua kya ye tujhe kuch Bata to bhai kaise ho gayi Teri ye halat? Mere Is sawaal ke saath saath ek soch bhi thi aakhir aisa kon Hai jisne mere dost ki ye halat Kar di.
Tujhe yaad Hai India Against Corruption ka Andolan jo Delhi main Hua tha. Anna Hazare waala? Usne kaha.
Ye kya sawaal Hua bhai haa mujhe yaad Hai par iska Teri is halat se kya Lena dena? Maine chidchidate hue poocha. Mujhe samajh nahi aa raha tha kaha Corruption kaha Pyaar aakhir ye kehna kya chahta Hai?
Bhai tere sawaal ka jawaab yahi se shuru hoga. Usne aisa kaha to mujhe samajh nahi aa raha tha aakhir wo kehna kya chah raha Hai.
Maine Bola ha bol. Usne Phir se cigarette ka ek Kash lia Ab tak wo cigarette khatam ho gayi thi usse Usne Zamee pe ragad ke bujhaya. Ye uski poorani aadat thi wo kehta tha cigarette ko kabhi pairo se nahi bujhana chahie. Mujhe dheere dheere lag raha tha ab tak wo pori Tarah badla nahi.
5April 2011 mujhe yaad Hai ab bhi wo tareek. Main gaya tha Ramleela Maidan. Pehli baar ek Naya Gandi dikha tha apne zamane ka Anna Hazare main. Par mujhe nahi Pata tha Wo Anshan ek kranti laaega aur waha Jana meri Zindagi main ek badlaav.
Main bas uski taraf dekh raha tha aur uski batain gaur se sun raha tha.
Main bhi waha khade hoke naare laga raha tha aur dikhana chaah raha tha ki main bhi is muheem ke saath tha. Tujhe Pata hi Hai main jab koi bhi politics ke regarding Issue hota Hai usme itna khoo Jata hu ki over excited ho jaata hu. Isi over excitement mai main Kisi ke pairo ke upar chadh gaya. Achanak peeche se kisi ke Karhane ki Awaaz aayi aur main jaise hi Muda bas tabhi se meri poori zindagi badal gayi.
Pehli baar koi itni khoobsurat ladki dekhi thi Maine. Neeli aankhe Lambe baal Gulaabi honth. Usne Neele rang ka Suit Salwaar pehan rakha tha aur Teri kasam bhai itni khoobsurat ladki kabhi nahi dekhi thi Maine.
Maine usse sorry Bola par Wo meri taraf dekh rahi thi aur uski aankho main paani tha mujhe khood pe bhaut gussa aane laga Maine is ladki ke aankho main Aansu laa diya. Maine phir sorry kaha usne kaha it's OK aagey se dhyaan rakhna.
Bas ye man ke chal tabhi Maine apna dil De diya.
Tabhi achanak Stage pe Kumar Vishwas aa Gaye aur Achanak bheed chillane lagi aur wo khoo gayi us bheed main.