ek khayal hai tu
about my soul and mind
Ek khyal hai tu...jise sochta bhi hoon aur likhna b pasand karta.
Yuh toh kayi hazar hain,
Aur lakho me ek sirf tu..
teri ginati bhi karta toh kese karta...
Na dhundh pane ka gam tha na pane ki talash..
Ek chhuan hai tu.... tab bhi tujhe mehasoos toh zarur karta...
andar hi andar sulag raha hai tu. Ek agan hai tu...tere liye kya sholo pe na chalta...
Tu jasbati hai...ek udata hua parinda sa.. Tujhe ked b toh kese karta...
Tu shaqsh hai kuch ankaha sa..
Ek kitaab hai tu...har din tera ek- ek panna hi palatata...
Teri moti ankhein teri kaali ankhein..
Ek tara hai tu..sari raar meri ankho me tim- tim karta..
Koi dawa hai tu...haan haan!! nasha hai tu...tu hi hai jo asar b karta aur beasar b karta..
kabi meetha sa sukun tu...
kabhi khatta sa dard..
kabhi pyaara sa thappad tu...kabhi mote mote se mukke bhi tu...
kabhi chutaki ki awaj sa natkhat...
kabhi muh par ungali rakha sa chup chup..!!
kabhi battan jesi ankho se tujhe dekhta main tak tak...!!
kabhi mujh par girta tu ek angdai sa....
Kabhi komal tu bachche ki pappi sa...
kabhi tujh ko me samete ek jhappi sa..
kayi rang tere pyaar ke...
algae kayi janmo ka nahi pata...abi aur issi janm me...main tujhe pyaar bass payaar karte karte hi marta...
"Ek khayal hai tu..tujhe likhta..sochta aur bass pyaar karta...."